2 Charsee
2 charsee 1 jaga pe charass pe rahay hotey hain. 1 bolta hay, “Yar hum idhar darakht k neechay baith k charass pe rahay hain aur wo dhekho samney masjid dhoop main hay.”
2sra bolta hay, “Han yar yeh tu paap ho raha hay, tu ao zara masjid ko dhakka laga k saye main ker detey hain.”
Wo 2noo apni charass ki puriya darakht k neechay rakh k masjid ko dhakka laganey lagtey hain,, itney main koi un ki charass peechay se le jata hay,, kafi deir k baad pehla charsee 2srey ko bolta hay, “Yar hum kab se dhakka laga rahay hain abhi tak saya nahi aya.” 2sra peechay dhekh kar bolta hay, “Han yar lagta hay bohat duur aa gaye hain ab tu charass ki puriya bhi nazar nahi a rahi hay.”












